Episode 2
Aur amaan hamesha ki tarah Chala gaya par usne himmat nahi haari thi tou wo agle din phir Chala aaya aina se milne
Scene 1:
Amaan ne aaj green shirt aur white pant( Jo usne us din pehni thi jab aina ko apne ghar le kar gaya tha engagement ke Baad) pehn rahi thi
Aur aina ne sky blue kurta ke Saath skin trouser and duppata le rakha tha
Amaan: aina!
Aina: Tum phir aa gaye
Maine kitni baar kaha hai ke mujhy tumse koi baat nahi Karni, Tum ja sakte ho.
Amaan: tumhe mujh se Kisi zamane me ki gayi Muhabbat ka waasta, kia Tum mujhy maaf nahi Kar sakti?
Aina: nahi, kabhi nahi
(Aina amaan ko bahir nikaal kar door lock kar chuki thi)
Scene 2:
Bua: (knock karte huy)
Aina beta! Khaana laga Diya hai Tum fresh ho Kar aa Jao.
Aina: jee bua! Main aa rahi hoon.
(Aina washroom me ja chuki thi)
Scene 3:
(Khaana khaate huy)
Bua: aina Dekho beta! Bohat time hogaya hai sahab ko gaye huy, ab tum kia chahti ho, Meri Baat maano tou amaan ko maaf kardo please
Aina: Bua jee! Is topic par koi baat nahi Karen please, yeh na mumkin hai mere liye, main amaan ko maaf nahi Kar sakti, ayenda khayal se baat kijiye ga
(Aina room me ja chuki thi)
Scene 4:
(Apne cottage me room me tha)
Imam din baba:
Amaan beta! Khaana laga doon? Aapne Kal raat bhi kuch theek seu nahi khaaya tha
Amaan: nahi baba! Aap jayen, araam karen
Mujhy bhook lagay gi tou khud le ke kha loon ga.
Imam din baba: nahi beta! Aap kuch halka sa hi le len kuch,
Amaan: kaha na mujhy bhook nahi hai, aap please jayen Yahan se.
Baba: jee beta!
Scene 5:
(Amaan apne study room me betha guitar Baja Raha tha jiski tune me uski siskiyan shaamil thin aur sheru uske paas farsh par beta usse dekh Raha tha,
Sochta hoga din bhar Khush rehne waala insaan raat ko itna bhayanak q ho jaata hai.
Scene 6:
(Amaan ne Jo orphan house khol rakha tha
Uske visit ke liye gaya tha)
Wahan bachon se Mila
Unse Khair khairiyat poochi, manager ko muzeed pese diye aur ghar wapis Chala aaya tha
Scene 7:
Raaste me qabristan se guzar hua tou socha abdulrehman baba se Milta hua jaon,
Unki qabar par gaya, fateha parhi, ( ab wo apne maa baap ko talaash nahi Kar sakta tha na)
Wahan uski achanak nazar pari Mir Farooq aur Ali baksh ke naam par,
Wo aisa sangdil bhi nahi tha ke zinda dushman ko maar kar, marne ke Baad bhi dushmani rakhta, usne in dono ki qabron par bhi jaake fateha parhi
Aur ghar ki tarf car mor di.
Scene 8:
(Amaan agle din Islamabad office Jo usne manager ke hawale kar rakha tha, wahan check lene gaya, sab log apni duty achay se Kar rahay thay, wo mutmayin hua, aaj Ka din wahan office ke kaam nibtaate guzaara, yeh uske liye acha tha wo khud ko jitna bhi masroof rakhta, ghar me reh kar hamesha aina saamne rehti thi)
Amaan: manager sahab! Aap sab files le aayen check ke liye.
Manager: ok sir!
Office se free honay par amaan lift kit tarf ja raha tha, usse pool table nazar aaya tou uske qadam wahan uthte gaye,
Wo kaafi din Baad khelne laga tha. Mind thora relax hua tou wo ghar ke liye Nikal gaya.